Sarfaroshi ki tammana ....

6:47 AM Posted In Edit This 0 Comments »


Sarfaroshi ki tamanna ab hamare dil mein hai
Dekhna hai zor kitna bazu-e-qatil mein hai

Aye watan Karta nahin kyun dosra kuch baat-cheet
Dekhta hoon main jisay woh chup teri mehfil mein hai

Aye shaheed-e-mulk-o-millat main tere oopar nisar
Ab teri himmat ka charcha ghair ki mehfil mein hai

Sarfaroshi ki tamanna ab hamare dil mein hai

Waqt aanay dey bata denge tujhe aye aasman
Hum abhi se kya batayen kya hamare dil mein hai

Khainch kar layi hai sab ko qatal hone ki ummeed
Aashiqon ka aaj jumghat koocha-e-qatil mein hai

Sarfaroshi ki tamanna ab hamare dil mein hai

Hai liye hathiyar dushman taak mein baitha udhar
Aur hum taiyyar hain sina liye apna idhar
Khoon se khelenge holi gar vatan muskhil mein hai

Sarfaroshi ki tamanna ab hamare dil mein hai

Hath jin mein ho junoon kat-tay nahi talvar se
Sar jo uth jatay hain wo jhuktay nahi lalkar se
Aur bhadkega jo shola-sa humare dil mein hai

Sarfaroshi ki tamanna ab hamare dil mein hai

Hum to ghar se nikle hi the bandhker sar pe kafan
Jaan hatheli per liye lo badh chalay hain ye qadam
Zindagi to apni mehmaan maut ki mehfil mein hai

Sarfaroshi ki tamanna ab hamare dil mein hai

Yoon khada maqtal mein qatil keh raha hai bar bar
Kya tamanna-e-shahadat bhi kisi ke dil mein hai

Sarfaroshi ki tamanna ab hamare dil mein hai

Dil mein tufanoon ki toli aur nasoon mein inqilab
Hosh dushman kay uda denge humein roko na aaj

Door reh paye jo humse dam kahaan manzil mein hai

Sarfaroshi ki tamanna ab hamare dil mein hai

Wo jism bhi kya jism hai jismein na ho khon-e-junoon
Tofanoon se kya lade jo kashti-e-sahil mein hai

Sarfaroshi ki tamanna ab hamare dil mein hai.
Dekhna hai zor kitna bazuay qatil mein hai.

By, Faisal Iqbal (Bismil Azimabadi)

0 comments: