Kalmago Mushrik
12:43 AM Posted In Islamic Poetry Edit This 0 Comments »Kare ghair gar but ki pojha toh kaafir
Jo thehraye beta khuda ka toh kaafir
Jhuke aag pe beher sajda toh kaafir
Kwakab mai mane karishma toh kaafir
Mager mominoo pe kushada hain raheen
Paristish Karin shooq se jis ki chahen
Nabi ko chahe khuda ker dikhayen
Imamo ka rutba nabi se berhaen
Mazaroon pe din raat nazren charhaaen
Shaheedon se jaja k mangen duaain
Na touheed mai kuch khalal is se aaye
Na islam bigde na imaan jaye
Wo deen jis se touheed phaili jahaan mai
Hua jalwa gar haq zameen-o-zamaan mai
Raha shirq baqi na wahm-o-gumaan mai
Wo badla
Hamesha se islaam tha jis pe naazan
Wo dolat bhi kho bethai aakhir musalmaan
Intekhab Faisal Iqbal (Molana Altaf Husain Hali)
0 comments:
Post a Comment